Monday 24 February 2014



Kaisa ye abka ishq hai,Aur kaisi hi hain iski arzoo-e-abroo?

Kaisa ye abka ishq hai,
Aur kaisi hi hain iski arzoo-e-abroo?
Farmate yu hain hum aajkal,
Kuch bhi,kaise bhi,
Kuch is tarah se kabhi bhi..
Tu ayegi,haath thamegi,dil sambhalegi,
Ye tere waqt-e-intezaar me
Ab ashiqui hi karna bhool chuke the hum,



Bahut arse baad, phir parinde ye hasrato ke mere udey hai ,
thode sirfire se aaj mere ye par fir khule hain..

par ye talaash me yaar,
ishq ke bahut se naazuk se kuch manzar-e-maqam hain..
itne baar chalakne ke baad,

ye kaanch-se-ashq-e-dil
ab fadakta kuch jaldi aur aam se thoda sa zaada bhi hai!!
dekha nahi madhushaala,
bas ishq-e-jaam se pyaas bujha leta hai,

kadwi-meethi-sasti-ameer
sabse hi aakhein chaar kar leta hai..
phir kitna hi kyu nahi ye nadaan pachtata hai..
tu mile to sab naseeb hai,
teri talaash me jo bhi mile ,
wo bhi hamare kareeb hai...

ye kais ajab aaj ki ishq hai..aur kya iski abroo-e-imaan..
naah hi hai,itna dil ki galiyo me mere itna mash-hoor,
ki hasraton mein kar jaaye katal-e-aam

aur na hi muktasir lamha wo,
jo palak jhapakte hi fanaa ho jaye..
har pal har lamha har kisi ko ,
iska na hona ek sitam satata hai,
aur saath hi kisi ka bhi wo,
kona chahat ka bhar paana hume nagawaar hota jata hai!!

khud ki khushfamiyo se guftagu rubaru karata hai..
phir kyu hume khud par itna guroor hai?
Ki na ye kisi ko bhi wo kona dena chahta hai
Nazre to bahuto se milata hai..
Nazdeeki bhi bahuto se badhata hai..

Par wo nasha ek hi se hai
Jo surror par jaata hai..
Raaton ko din,
Din me chaand dikhata hai..

Kaisa ye ishq or iski arzoo hai
Kaha hoga agaaz,
Aur kahin anzaam tak parwaan chad jaata hai…
Kaisa ye ishq hai??


14th-feb-14

Dev

No comments: