Thursday 20 September 2012

Jo tum na hotey....



Jo tum na hotey
--------

sochta hoon,kya hota
agar jo tum sath na hotey

naye mod pe aye the,
nayi zindagi ki talaash mein hum sabhi,

aur haan,the chod aye peeche.

kuvh uljhe,kuch sulje,
to kuch kati si yaadon ki patango ke maanjhe,

shaayad tha humne use gawayaa,
tha shayad thukraya,

sach kahein to,
humne na une tha kabhi apnaya,
zindagi ki yaddon ke makaan me na tha unko kabhi sajaya


suna hai kisi se to,

jo gum ho jaye,
use nahi kehte hain paana

aur jo haasil na ho sake,
uske armaan kabhi na hai jagaana

Dekhta hoon aaj,
mai ye apna to,

paata hoon tumko jo sath,
apne aaj main,

to dil ye puchta hai baawra mera,
 kya hota tera??

jo sath tumhara na hota,

jo tum na hotey,
aur tumhara sath na hota..


mile to bahut hain,
rahoon mein chalte huye aur musafir to hume bhi,

par musafir aur humsafar mein hota hai farak bahut sa..

aashiqi to ashikon ki hai,baat dosti ki bhi agar karen tab,

to sathi rahon mein milte to hain dost naam ke yaar hazaar,
par jitni choti thi unki humse zaruratein,
usse bhi chota tha unka sath,
aur usse bhi kam hai,
reh gayi zehan mein unki yaadein,,,

sochta hoon??
tum bhi waise hotey??
to kya hota??

ab sochta hoon
tum na hotey to kya hota,
jo tum na hotey......


dost to wo hotein hain,
hai jo manzil tay karte hain sath se anjaam tak,
ek gir jaye thokar khakae ,to wo bhi wahi se apni bhi raah mod lete,

na ki rukh mod kar jhuti nami bhari aakhon se alvida kehtey...

sochta hoon main,ye bhi...

na hoti tum,
to hota main shayad akele tanha,
ya shayad na bhi,

bas farakh itna hai ki,                                                    

hoti ye mehfilein tab bhi,
chalte pyaar dosti ke ye karwein tab bhi,

par na hoti meri shaamein itni hassen,
aur na hoti subah,itni tazan tareen,

na hoti meri dopahar itni zinda dil.                  
aur na hi dhalti raatein meri,
itni muskurahton ke tale..


jo na hote tum,
tumhara sath na hota...

zindagi mein aate to hain bahut se raaste,
haasil bhi hotey hain,
sabi ko apne manchahein mukaam,
par na hotey ye sabi pal itne haseen..

jo tum na hotein..
jo tumhara sath na hota..

jo tum.......




vasudev tewary:)