Thursday, 16 June 2011

KHWAYISHON KA JALSA


KHWAYISHON KA JALSA

KHWAYISHON KA JALSA,
SHAAN BHI HAI ISME KAMAAL,
MISAAZ ISKE BEMISSAL,

KAHIN TO MEHKHANE MEIN BARASTA HAI,
TO KAHIN MAN KI TITLIYON KO HASIL KAR TARASTA HAI!

DHEEMIEN DHEEMIEN AAHISTA
ARZOO KO CHUMTA HAI KABHI.....


KYA HAI YE?? KHWAYISHON KA JALSA,

YE JEHAN HAI,
AWARGI HAI,

KAHIN MEHFILON KI SHAAN HAI,
TO KABHI JALSA YE,
REH JATA HAI EK,
TANHA SA KARWAAN,



JALSA HAI YE ARMAANO KA,
TO KABHI NAZAYAZ ERADON KA,

BADA HI KHUDGARZ HAI YE KABHI,
TO KABHI SAHMA SA,
JALSA KHWAYISHON KA.....


BEGARAD HAI,YE HAI BEGAANA SA,
TO HAI KABHI SANNATA SA,

NASHA HAI ISME,
PAL DO PAL KA!

SUKOON HAI, JUNOON HAI,
SHAYAD HASRATON KA KUSSOR HAI!

JALSA KHWAYISHON KA!!


JALSA YE WOH JALSA HAI.....
JO HAI HAMSAFAR ZIDIGIBHAR KA!

KYA BACHPAN,KYA YOUVAN??

KHWAYISHEIN TO HAMESHA HI MACHALTI REHTI HAIN..

AKHIR DUM TAK SHAMA ROUSHAN-E- KAYAM REHTI HAI...!!!

JALSA KHWAYISHON KA........JALSA.!!


DARD,SHIKAYAT HAI TO YAHI,
JALSA YE KYU JEETA HAI SIRF
ZADATAR KHAYALON ME HI HAMARE??

SOCHTA HOON........

KYU NAHI HAR WO CHAAH
SACH MEIN PURI HOTI??

TABHI KHAYAL ATA HAI!

KHWAYISHEIN SABHI YUHI,SAB JAYAZ NAHI HOTI..........

LEKIN JAYAZ KHWAYISHON KA KYA??

MUKADDAR HUA TOH HOGA,
US JALSE KA TAMAM DUNIYA GAWAH..

NAHIN,  TO BHI DO PAL KI KHUSHI
DEGA US CHAAH KA KHAYAL...

YAHI TO JALWA HAI..

JALSA KHWAYISHON KA...!!


SAPNO SE SANJHE HAIN  ISKE,
ARMAANON KE MANJHE!

IS PATANG KE DAYRE KAUN JANE RE!!
YE NAINA TO MERE HAI BAHUT BAWRE RE!!

JO ISKE LAGAWE HAIN ASRE......

AKHIR,
YE TOH HAI KHWAYISHON KA JALSA,
NA HAI ISKI KOI RAAH DEKHTA,
NA HI HAI ISKI EK MANZIL KOI,

REH JAYE, TO MAUJA

NA TO, EK PAL SA!!!


JALSA!! KHWAYISHON KA JALSA!!!!
VASYDEV TEWARY

Friday, 22 April 2011

ZID

ZID



                             ZID HAI TO ,
              AADMI ZINDA HAI,
ZID HI TO HAI JO,
KABHI INSAAN PINJARE MEIN,
TO PHIR KABHI PARINDA HAI,
ZID HAI TO ZINDAGI HAI !!

ZID NAHI TO SAANSE TO HAIN,
CHALTI BHI HAIN,PAR DHATAKTI NAHIN,

KUCH ZID HAMARI HAI..
TO KUCH ZABARDASTI KI,
PAR ZID HI TO HAIN,
JO HUM ZINDA HAIN...

KABHI SAPNEY HAIN TO HUM,
KABHI SAPNO SE HUM,

KAHIN WAJOOD KI MANSHA HAIN,
 AUR KAHIN, ZID HI WAJOOD HAI,

MANSHA SE KHYWAISHEIN HAIN,
AUR KHYWAISHON SE ZINDAGI,
 TO KYA YEH ZINDAGI ZID NAHI????

DABAV MEIN ZID HAI
TO SANGHARSH MEIN BHI ZID HAI,
PYAAR MEIN ZID HAI,
TO INKAAR MEIN BHI ZID,

AUR PHIR MUSKARAKE ZINDAGI KO JEENA TABHI,

ZID NAHI TO KYA HAI??


HAR WAQT HAR PAHEL,
EK ZID HA,

JO JEETI HAI HAMARE ANDAR,
AUR JEENA EK ZID HAI,

PURI HO JAYE TO ZID ZINDAGI HAI,
NAHI HO SAKE,
TO ZID AUR ZIDDI HO JATI HAI,

PHIR BHI ZID HI ZINDAGI CHALATI HAI,

TO KUCH TOOTE HUYE MAN KI YE NAPPAN ZIDEIN,

JEENE KI ZID KO HI HARA DETI HAIN,

PHIR BHI,
AAGHAZ SE ANJAAM TAK,


SAMJO ZINDAGI BHAR

YE ZID HI TO HAI,
JO ZINDAGI CHALATI HAI,
ZINDAGI ZID HAI,
BALKI ZID HI ZINDAGI HAI

KUCH BADI ZID HAIN
TO KUCH KADI,

KUCH MEETHI ,
TO KUCH SACHI,


KAHIN ZID KADWEE HAI TO,
KAHIN KAMJOR...

ZID TO ZID HAI,
ZINDAGI ZID HAI...



SO..AYE HAMSAFAR TU IS ZINDAGI KE...,
ZID SE ZYAADA AAJ TU ZIDDI HO JA,

KI PAYEGA JO TUNE HAI ZID KI,


KYUNKI HAAR BHI EK ZID THI KABHI,
 AUR JEET MEIN BHI ZID HAI,

AKHIR AKHIR ZINDAGI ZID HAI,

ZID HI TO ZINDAGI HAI.......



VASUDEV TEWARY